Monday, December 26, 2011

yaadein bhi pathjad ban gayi ab toh
ki jhoka usse udata gaya,
zindagi ki daali sookh gayi ab toh
ki Chhaya bhi ab diya na gaya....

Thursday, November 10, 2011






khwab aankhon mein
bune kuch is kadar,
ke palkhen ab jhapakne
manzooor nahi...

raah mein chal pade
kuch is kadar
ki in kadmon ko
ab rukna manzoor nahi...

hosale buland hai
kuch is kadar
manzil ki fikar
ab humein nahi...

chahe toh tham le
yeh haath tu abhi
ki shayad iss mod par
kal hum ho nahi..


- Eon Heath

Tuesday, September 27, 2011


Raah mein manzil kho jati hain kyu...
raahi bichad jaate hain kyu...
na bad sake yeh kadam,
fir dosh taqdeer ko dete ho kyu...

Jazbaat...

Thursday, September 8, 2011



Beqarar un nazaron se
nazar hata na sake,
Izhar toh karte par
un nazaron se
nazar mila bhi na sake...

Koi alfaaz un hoton par
hum padh na sake,
Ke ho inkaar
un hoton par
toh hum seh na sake...

Jazbaat unke seene mein
woh keh na sake,
Ke guzri jo raat
aur jaam
hum pee na sake.. 

-Eon Heath


Image - Google

Iss raah, woh mod...

Tuesday, August 23, 2011




ishq ki galiyon mein
gum bhi milte hain,
na chaho fir bhi
bebasi bhi milti hain,
hosla bulandh kar lo
ki sarghoshiyan bhi milengi,
kitni bhi koshish kar lo
tanhaiyan bhi milengi...

musafir koi yeh raah
chunkar nahi chalta,
ke mohhabat koi
sochkr nahi karta...
andhera mitane
ek shama hi kaafi hai,
ke tere kadmo ko badhne
uski yaadein hi kaafi hain...

ishq ki galiyon mein
aashiq aaj bhi milte hain,
koi majnu ya ranjha
toh koi shayar ban jate hain...


-Eon Heath

Raahi...

Friday, July 29, 2011







Chalte rahe yun raah par
ke kahin manzil na kho jaye...
kadam se kadam milata chalu
ke kahin saathi rooth na jaye...

ek tu hi kaafila mera,
ek tu hi karwan,
sang tere duur chalu
ke kahin ye raat na guzar jaye...

phir meri tanhayi mein palu,
ya teri yaadon mein,
dono ke saath chalu
ke kahin saasein na toot jaye...


-Eon Heath



p.s.- am not sad, but then i donno why i wrote this...the desert sure does stir some thoughts....

Dua...

Sunday, July 3, 2011




Aaj na jaane kyu
In labon se ek dua nikli hai...
Tujhse bas ek baar aur
milne ki arzoo nikli hai

Teri bahon mein guzaare
Woh kuch pal,
Jinki khushboo mein
Aaj yeh raat jaagi hai...

Teri aankhon ki gehrayion mein
Chhupa tera izhar,
Phir dekhne ko
Aaj yeh qaynaat jaagi hai...

Kitni bebas hai yeh raat,
Aur kitni bebas hai yeh qaynaat,
Ki unke labon se bhi dua nikli hai
Aaj tujhse phir milaane ki arzoo nikli hai...

- Eon Heath

i know the image doesnt really go well with the write up, but somehow i could relate to it in a way...the nights are spent in melancholy of such waits...


Img courtesy - Here

khud ko bhula denge...

Thursday, June 23, 2011



Raat ki mehfil se,
us chand ko chura lenge...
ki har dua mein,
tujhko basa denge...

Teri chahat mein,
hum khud ko bhula denge...


Teri rooh se,
kuch haseen nagme chura lenge...
Tere zehen mein,
apni yaadein chupa lenge...

Teri chahat mein,
hum khud ko bhula denge...

Teri aankhon mein
hum khuda dhoond lenge...
ki teri khamoshi ko,
teri wafa kara denge...

Teri chahat mein,
khud ko bhula denge...
aur apni saanso mein
tujhko panah denge...
Ki teri chahat mein,
khud ko bhula denge...


- Eon Heath

image courtesy - Google

Deewangi...

Sunday, June 19, 2011




Subah ki angdaiyon mein,
teri sanson ki khushboo si kyu hai…
Is din ke har peher mein,
ek anjnabee justju si kyu hai…

Shayad yeh bawra dil
phir behka hua sa kyu hai…
ke isse ab sambhalna 
kuch mushkil sa kyun hai…

Shaam ki thandi fizayein
aaj yun madhosh kyu hai…
aur woh dhalta suraj
badlon mein soya sa kyu hai…

Yeh raat ki mehfil mein
samaye se kyun hai…
aur yeh dishaein,
khoye se kyu hai…

Kya meri tarah yeh bhi
deewane hue hai…
aapke chahat ke,
yeh parwane hue hai..


-Eon Heath


image courtesy - here

Majhi...

Wednesday, June 8, 2011



Pyaar ki manzil ko
dhoond lete...
Beete palon mein,
koi apna dhoond lete...

Reth ki saagar mein,
koi majhi dhoond lete...

Na mile koi apna toh,
hume keh dete,
dil ki naav mein aapko,
saahil tak pohocha dete...

Reth ki saagar mein,
koi majhi dhoond lete...