Subah ki angdaiyon mein,
teri sanson ki khushboo si kyu hai…
Is din ke har peher mein,
ek anjnabee justju si kyu hai…
Shayad yeh bawra dil
phir behka hua sa kyu hai…
ke isse ab sambhalna
kuch mushkil sa kyun hai…
Shaam ki thandi fizayein
aaj yun madhosh kyu hai…
aur woh dhalta suraj
badlon mein soya sa kyu hai…
Yeh raat ki mehfil mein
samaye se kyun hai…
aur yeh dishaein,
khoye se kyu hai…
Kya meri tarah yeh bhi
deewane hue hai…
aapke chahat ke,
yeh parwane hue hai..
-Eon Heath
image courtesy - here
12 comments:
ji deewangi ka asar hi kuch alag hai..woh karwa jati hai jo nahi ho pata aur woh chudwa deti hai jo hota hai..aur jisko nashe mein dubana chahe apne aghosh mein le aati hai..
@Alcina
aapne yun nashe ki baat ki, ke hosh ud gaye...ab usse sambhal ne ke liye,
kahin madhosh na hona pade...
:)
hmm i thought of addin somethin equally good in ma commnt....but i just couldnt get the words...lovely lines...is dewangi me likhe yeah chand alfaz kamal hain....:)
:)
@Undapakhru
:D
@Vaisakhi
ji aap ka shukriya..
:)
Its sweet and in a way sultry too ;)
Lagta hai woh Shayad, kisine apne empty head ki chap rakhi hai :P
@Poonam.doc
empty head ko kaafi gehrayi se read karne lage ho..
:D
Coz, I can sense the depths in that emptiness :P
kuch gabad hai in above sentence, but I think you would understand it...
:)
aapke jazbaat,kuch iss tarh aapne baynane kiye ab hum kya kahe hum kuch likhene ke kabil hi na rahe,
ab toh dil karta hai mere jazbaat bhi aapki tarah ho jaye
:)
@Poonam.doc
gadbad to humesha hoti hai...
:P
seedhe chalne mein sab nazare jo choot jayenge...
@Kavya
ji jazbaat ko jazbaat tak rehne dijiye, ehsaas ban gaye toh shayad mushkil ho jaye...
:)
Post a Comment