Jazbaat...

Thursday, September 8, 2011



Beqarar un nazaron se
nazar hata na sake,
Izhar toh karte par
un nazaron se
nazar mila bhi na sake...

Koi alfaaz un hoton par
hum padh na sake,
Ke ho inkaar
un hoton par
toh hum seh na sake...

Jazbaat unke seene mein
woh keh na sake,
Ke guzri jo raat
aur jaam
hum pee na sake.. 

-Eon Heath


Image - Google

7 comments:

Eris said...

beautiful....Arab influence trickling in... ;)
U choose your images well

Alcina said...

Tishnagi unn ankho mein chipi hui hai,
Ek iqrar bhar tak ka intezar liye
palke yuhin jhukaein,
Inkar ke dar se umrbhar kya yuhin bekarar jiye,
Keh denge kabhi yun hi baato baato mein samajh jana,
Tabhi dekhna ankhen has dengi aur bechain dil toh paaidaar karar mein dubb jaayega..

Beyond Horizon said...

Unconfessed emotions...

:)

ahem,ahem...mast pic,and jaam pee na sake :P

Fatima said...

Kabhi kabhi alfaz ceene mein kaid hi rahe ho behtar hai...bahar aakar kabhi kabhi woh bhi unki khoobsurti aur ehmiyat duniya mein ko dete hai!

lekin dil mein jitna chupake rakho dil utna hi bhari hota hai...

TC

Vaisakhi said...

jazbaaton ko kisi se na sahi par kahin akele mein jahir kar dena chahiye...humari parchai bhi sun le toh hume sukun mil jata hai....as i had said earlier...i loved this write...has an incomplete feel but still is complete in so many ways...

Vijeta Biradar said...

Nice... Liked the way it started aroused a curiosity!.... regrets too many... aakhir dil ki baat dil hi me reh gai.. nice one!! :-)

Kavita(kavya) said...

nice