Arzoo...

Tuesday, April 9, 2013



Tere ek saaye mein panah de de, mere
Dil ko dhadakne ki wajah de de…
Bechain rehta hai tere khayalon mein, isse
Tujhe dekhne ki raza de de…

Ajnabee hoon tere liye,
Maana duuriyan bhi hai
Fir kyun faasle ye dil ke nahi
Aur basi tu meri rooh mein hai…

Maangu main rab se tujhe
Har sajde mein poochu tujhe
Sunkar is dil ki dua
Uss rab ne hai bheja tujhe…

Jeene ki koi wajah de de, jaagte
In aankhon mein koi khwab de de…
Tere ek saaye mein panah de de, mere
Dil ko dhadakne ki wajah de de…

- Eon Heath

p.s.- This particular poem is dedicated to someone. I just hope when one fine day you do think of me, you can read this and smile, and know that you arent forgotten either... :)

Img courtesy - Here

Aaj...

Wednesday, January 11, 2012



Maine aaj mein
ek lamha khoya hai,
us lamhe mein basi
zindagi ko khoya hai...

Apne ashqon mein
barsaat ko khoya hai,
apne gumon mein
teri hasi ko khoya hai...

anjaan ek manzil
ki talash mein,
raah chalte
rahi ko khoya hai...

Pyaar ki aad mein
rishton ko khoya hai...

duur itne nikal chala
is andhere mein,
ki pyaar ki shama
ko khoya hai...

Maine kal ki talash mein
apne aaj ko khoya hai,
har sans mein
zindagi ko khoya hai....

-Eon Heath

Monday, December 26, 2011

yaadein bhi pathjad ban gayi ab toh
ki jhoka usse udata gaya,
zindagi ki daali sookh gayi ab toh
ki Chhaya bhi ab diya na gaya....

Thursday, November 10, 2011






khwab aankhon mein
bune kuch is kadar,
ke palkhen ab jhapakne
manzooor nahi...

raah mein chal pade
kuch is kadar
ki in kadmon ko
ab rukna manzoor nahi...

hosale buland hai
kuch is kadar
manzil ki fikar
ab humein nahi...

chahe toh tham le
yeh haath tu abhi
ki shayad iss mod par
kal hum ho nahi..


- Eon Heath

Tuesday, September 27, 2011


Raah mein manzil kho jati hain kyu...
raahi bichad jaate hain kyu...
na bad sake yeh kadam,
fir dosh taqdeer ko dete ho kyu...

Jazbaat...

Thursday, September 8, 2011



Beqarar un nazaron se
nazar hata na sake,
Izhar toh karte par
un nazaron se
nazar mila bhi na sake...

Koi alfaaz un hoton par
hum padh na sake,
Ke ho inkaar
un hoton par
toh hum seh na sake...

Jazbaat unke seene mein
woh keh na sake,
Ke guzri jo raat
aur jaam
hum pee na sake.. 

-Eon Heath


Image - Google

Iss raah, woh mod...

Tuesday, August 23, 2011




ishq ki galiyon mein
gum bhi milte hain,
na chaho fir bhi
bebasi bhi milti hain,
hosla bulandh kar lo
ki sarghoshiyan bhi milengi,
kitni bhi koshish kar lo
tanhaiyan bhi milengi...

musafir koi yeh raah
chunkar nahi chalta,
ke mohhabat koi
sochkr nahi karta...
andhera mitane
ek shama hi kaafi hai,
ke tere kadmo ko badhne
uski yaadein hi kaafi hain...

ishq ki galiyon mein
aashiq aaj bhi milte hain,
koi majnu ya ranjha
toh koi shayar ban jate hain...


-Eon Heath

Labels

pyar (5) raah (4) khwaishein (3) pal (3) aap (2) deewangi (2) dua (2) manzil (2) raat (2) shayar (2) yaadein (2) aaj (1) chahat (1) ehsaas (1) hum (1) ishq (1) jaam (1) jazbaat (1) madhoshi (1) main (1) majhi (1) tu (1)