Arzoo...

Tuesday, April 9, 2013



Tere ek saaye mein panah de de, mere
Dil ko dhadakne ki wajah de de…
Bechain rehta hai tere khayalon mein, isse
Tujhe dekhne ki raza de de…

Ajnabee hoon tere liye,
Maana duuriyan bhi hai
Fir kyun faasle ye dil ke nahi
Aur basi tu meri rooh mein hai…

Maangu main rab se tujhe
Har sajde mein poochu tujhe
Sunkar is dil ki dua
Uss rab ne hai bheja tujhe…

Jeene ki koi wajah de de, jaagte
In aankhon mein koi khwab de de…
Tere ek saaye mein panah de de, mere
Dil ko dhadakne ki wajah de de…

- Eon Heath

p.s.- This particular poem is dedicated to someone. I just hope when one fine day you do think of me, you can read this and smile, and know that you arent forgotten either... :)

Img courtesy - Here

10 comments:

Vaisakhi said...

bade dino baad
aapke alfaazo ka hai jaadu chala
hogi woh kahin bhi
par hogi fida is pane pe bikhri
aapki alfaazon ki mehek pe
eon kya khub likha hai aapne...:)...but hai kiske liye??!!??

Eon Heath said...

@Vaisakhi
;-)
hai jo bhi, un tak khabar to pohonch gayi... :)

over an year since i postd anything here..
jo ehsaas jage, unhe bayan kar diya...
jo dil mein basi thi, unko paygaam bhej diya..

Deepika Vasudeva said...

Sorry for being so late badaa! But i would say it worked well on me.. I read it in after reading such a great story that this one went straight inside. Problem kya hai teri? Waise hindi aati nahi aur likhne ke time hindi ke papa ko bhi tujhe padh ke sharam aa jaye :O
By god! So intense. I kinda know who is the inspiration ;) maybe.. Aage you can be unpredictable too :P
Oh btw.. did i ever tell you that you are my all rounder mentor? No? Now you know that :D

Bless. Love. Clap. Hug.
Bachcha :P

Eon Heath said...

@Bachha
Arre, inspiration strong wali thi..isiliye hindi bhi sahi ho gayi...
Aur, mujhe mentor na bana...shayad uss mukaam par na tik saku. bas guidance ke liye ek dost jaise rakh, dosti har dum par nibha sakta hoon..
:)

apna khayal rakh...

Bada..

Alcina said...

Shabd wahi hain,ehsaas wahi hai jo har ek haal-e-dil bayan ka raha hai is panne par..magar kuch toh hai jo alag hai isme..

Bohot hi pyaari rachna hai..

Eon Heath said...

@Alcina
Ji bas ek koshish hai...aur kuch nahi..
:)
shukriya aapka...

Fatima said...

Ek arsa beet gaya aise laga apki nazam padhke jo hamare dil ko chu gae,
Hum toh tassawur bhi nai karsekte aapka hal-e-dil lekin dil se sirf ek hi dua nikli..
Woh shaqs jiske liye ye alfaz hai unhe bhi iss nazam ki gehrai ka ehsaas ho..

Beautifully worded..loved it :)

Take Care

Eon Heath said...

@Fatima
Ji alfaaz toh untak pohonch hi gaye hain, aur gehrayi bhi mehsoos ho gayi ho...par har rishte ka koi anjaam nahi hota, aur be anjaam woh rishta kam nahi hota..
:)

aur shukriya aapka...achha alga jankar ki kuch mehsoos to kara sake...ehsaas bayan to kar sake..
:)

Fatima said...

@Eon: har rishte ka koi anjaam nahi hota, aur be anjaam woh rishta kam nahi hota..

Aapne yeh kehke jaise hamari jaan hi muthtti mei band kar li ho..ek ek alfaz mei itni haqeekat hai ke ab toh hum shayad ehsaas ko bhi bayan nai karsakte..

Eon Heath said...

@Fatima
Ji koshish lagi rehti hai ki is dil ko haqeeqat se wakif rakhe...par kabhi kabhi machal jata hai, khwaishein kiye jata hai..
:)

Labels

pyar (5) raah (4) khwaishein (3) pal (3) aap (2) deewangi (2) dua (2) manzil (2) raat (2) shayar (2) yaadein (2) aaj (1) chahat (1) ehsaas (1) hum (1) ishq (1) jaam (1) jazbaat (1) madhoshi (1) main (1) majhi (1) tu (1)