Tuesday, September 27, 2011


Raah mein manzil kho jati hain kyu...
raahi bichad jaate hain kyu...
na bad sake yeh kadam,
fir dosh taqdeer ko dete ho kyu...

5 comments:

Obscure Perceiver said...

Zindagi ki raah par chalna nahi hai aasaan,
Yahan phoolon ke saath bikhare hue kaatein bhi hai,
Dard sehana hoga tujhe,uss dard mein muskurana hoga tujhe,
Sawaalon ke jawab bhi milege,
khoyi hui manzil bhi milegi,
Raahi toh bichad jaate hi hai,un yaadon ke saath bade tere kadam,
kya hai yeh taqdeer?
Haatho mein basi hui lakiron mein hai?
ya Tu, khud jo apni manzil bana raha hai is zindagi ki raah par chalkar?

Vijeta Biradar said...

Jo bichad jaayein raahi to kya
Raah me humsafar naye milenge
Jo kho gayi ek manzil to kya
Naye mod nayi mazilein aur milengi
Wakt hai har zakhm ka marham
Khud ba khud badhne lagenege tere kadam...

Kavita me apni baat kafi achhe se kahi :-)

Fatima said...
This comment has been removed by the author.
Fatima said...

Taqdeer se koi gila nahi,
Na zindagi se koi shikwa,
Shikayat toh shayad khud se hai...
Jisne ruh se toh usse dekha,
Lekin shayad samhaj na paaya...

Apna Khayal rakhna !!

Harsha said...

Wow! I love this one. :) Simple, short yet thoughtful!